Tuesday, September 28, 2010

Ye zindagi udas hoti agar

Ye zindagi udas hoti agar,
Tumhari yaado ka silsila hamre sath na hota.
Bhatak gay hote ham apni rahe zindagi se,
agar tumne zindagi jine ka falsafa sikhya na hota.

Wednesday, June 2, 2010

Aaj ham akely bahot hain

Aaj ham akely bahot hain dost tere jaane ke baad,
Us waqt ankhe nam to thi,magar
Aaj roi hain tere jaane ke baad.


jise tere jaane jk dard kaha karte they
Aaj wahi dard dekar,
Mujhe khafa hai tere jaane ke baad.

Aaj ham akely bahot hain dost tere jaane ke baad,

Dost to bahot hain yahna magar,
tujhsa na koi yahna ,
tere jaane ke baad.

Jiske sath ke bharose baetha tha,
tanhai ka sahara samjh kar tere jaane ke baad,
Aaj usine tanha kar diya tere jaane ke baad.


Aaj ham akely bahot hain dost tere jaane ke baad,


Uska dard kiss se kahne tere jaane ke baad
koi yahna tujhsa nahi,
tere jaane ke baad.

Isliye ye ankhe roi bahot hain tere jaane ke baad,
Aaj ham akely bahot hain dost tere jaane ke baad,


MEHMOOD AZMI

Sunday, April 11, 2010

Ham bhi kisi ke pyaar me jiya karte the ||
Dard-e-dil,dil me liye fira karte the.

jab koi puchta tha hamari bebasi ka sabab ||
ham apne mahbub ka pata diya karte the.

log kahte the pagal hain ham unke pich ||
jab khayalo me unko pukara karte the.

ham bhi kisi ko pane ki tamanna rakhte the ||
jab wo hamne apna hamsafar samjha karte the.



*khan mehmooa azmi*

Ham bhi kisi ke pyaar me

Ham bhi kisi ke pyaar me jiya karte the ||
Dard-e-dil,dil me liye fira karte the.

jab koi puchta tha hamari bebasi ka sabab ||
ham apne mahbub ka pata diya karte the.

log kahte the pagal hain ham unke piche ||
jab khayalo me unko pukara karte the.

ham bhi kisi ko pane ki tamanna rakhte the ||
jab wo hamen apna hamsafar samjha karte the.








*khan mehmood azmi*

Friday, April 9, 2010

Ham chale bhi gaey

Ham chale bhi gaey

Ham chale bhi gaey to,
tum hamne yaad karogii.

chahe ab jitne sitam kar lo,
ham na rahenge to milne ki fariyaad karogii.

tum hamne bhula na sakogii,
tum hamara naam dil se apne mita na sakogii.

ham wo pyaar ki khusbu hain,
jo mar bhi gaey to,
tum harpal meri mojudgii ko mahsus karo
gii.

Monday, April 5, 2010

Bachpan ki yaadein

Wo Bachpan ki yaadein,
WO chidtio ki chak_chkahat,

Wo bagiino me udhti titlino ki khushbu,
Diwano ke jaise pakadhte unko balak,

Wo nadino ke zharne,
Wo halki baeish me khelta
apna bachpan,

Bahot yaad aati hain bachpan ki
yaadein.

Wo dopahar ki dhup
me mitti ke ghar banata apnapan

Wo kali raatno me tim timate
taro ki chamak,

Jo gujari thi hamne
angan me raatne,
Bahot yaad aati hain
bachpan ki yaaden.

Bahot yaad aati hain
bachpan ki yaaden.

Tuesday, March 30, 2010

Mai koi sahyar nahi

Mai koi sahyar nahi,
mai koi lekhak nahi,
na mai koi rachita hun.

mere labz kisi galib ki gazal nahi,
meri likhawat kisi kitab ki nakal nahi.

ye to mere gujre huy kal ki,
dard-e-numa kahani hai.

Ise kisi kavi ki kavita na samhajh na,
ise kisi sahyar ki shayari na samhajh na.

ye to mere bite dino ki chahat
ki nishani hai.

maeni har labz ko apne sine utara hai,
ek ek labz ko intejar ki dhup me sicha hai,
Ise sirf gajal na samhajh na.

ye to sirf mere pahle pyaar ki kahani hai.

Monday, March 29, 2010

JAB BHI MILTA HUN TUJHSE

jab bhi milta hun tujhse,
meri jindagi udas ho jati hai.
meri har dhadhkan khamosh ho jati hai.

teri surmai ankho ki kasam,
meri mohabbat sare - bazar badnam ho jati hai.

teri dhundhli yanadne,
sare - aam mujhko dasti hain,
jab bhi chere se tu nekab uthati hai.

Tere dard ka silsila tab tak chalta raha,
jab tak tu na nazrne mere chehare se hatati hai.

jab bhi milta hun tujhse,
meri jindagi udas ho jati hai.

Ishaq ki

werg

Wednesday, March 24, 2010