Tuesday, March 30, 2010

Mai koi sahyar nahi

Mai koi sahyar nahi,
mai koi lekhak nahi,
na mai koi rachita hun.

mere labz kisi galib ki gazal nahi,
meri likhawat kisi kitab ki nakal nahi.

ye to mere gujre huy kal ki,
dard-e-numa kahani hai.

Ise kisi kavi ki kavita na samhajh na,
ise kisi sahyar ki shayari na samhajh na.

ye to mere bite dino ki chahat
ki nishani hai.

maeni har labz ko apne sine utara hai,
ek ek labz ko intejar ki dhup me sicha hai,
Ise sirf gajal na samhajh na.

ye to sirf mere pahle pyaar ki kahani hai.

Monday, March 29, 2010

JAB BHI MILTA HUN TUJHSE

jab bhi milta hun tujhse,
meri jindagi udas ho jati hai.
meri har dhadhkan khamosh ho jati hai.

teri surmai ankho ki kasam,
meri mohabbat sare - bazar badnam ho jati hai.

teri dhundhli yanadne,
sare - aam mujhko dasti hain,
jab bhi chere se tu nekab uthati hai.

Tere dard ka silsila tab tak chalta raha,
jab tak tu na nazrne mere chehare se hatati hai.

jab bhi milta hun tujhse,
meri jindagi udas ho jati hai.

Ishaq ki

werg

Wednesday, March 24, 2010