Friday, March 25, 2016

Bago me chahat k full fir khilenge

Bago me chahat k full fir khilenge,

who maosam hame fir milenge, magar,        

ye khusbhu na rahegi, ye shobat na rahegi.

kuch bhi na rahega agar,                          

Teri mohabbat na rahegi.


                                          M.A.K

Duniya jise kahti hai gazal

Duniya jise kahti hai gazal,
Who kisi k dard ka fasana hai.

Har labz ek ansu,
Kuch aah,to kuch dard ka fasana hai.

Kiss se kare dard-e-zindagi ka tarjuma,
Yahan har rishta ek matlab h,
Matlab farast zamana hai.

Duniya jise kahti h gazal ,
Kisi k dard ka fasana hai.

I Love u all
M.A.K.

Suni suni si ye gali,

Suni suni si ye gali,
Suna suna sa mera ghar lagta hai.

Tu gai h,jab se ye jahan ek,
Ujdha hua sahar lagta hai.

Itni khushiyan di hain tune,
K ab gamo ki parchain se Bhi dar lagta hai.

Ab laot aa dil deta h duhai un wado ki,
Un lamho ki,Jo bitai the sath me,

Tere bina ab jina,Marne se battar lagta hai.

       
                                            M.A.K

Phir mujhe deedad-e-hushn yaad aaya

Phir mujhe deedad-e-hushn yaad aaya,
Ek barso bichda yaar yaad aaya!!

Who gul-e-gulishta na raha,
Iahq-e-mehefil-e-chaman na raha.!!

Dekha tha khowab kabhi,
Hamne in ankho se,

Aaj fir wahi ek tuta khowab yaad aaya,

Fir mujhe deedad-e-yaar yaad aaya,
Us bewafa ka peyaar yaad aaya!!

Aaj dekha usko rahe-e-safar me ,
Us sitamgar ka wahi fir,berukha pan yaad aaya.!!

Fir mujhe deedad-e-ghar yaad aaya,

Bhul chuka tha jo waqt,
Aaj fir who waqt-e-safar yaad aaya.!!!!

                                                        M.A.K

Aay kalam jara aahista chal

Aay kalam jara aahista chal,
Mai apne peyaar ki kahani,

Apni zubani likh raha hun,
Jara aahista chal.!!

Tute na ek Bhi harf-e-wafa,jara aahista chal.!!

Mai janta hun,tu mere dard se surkh ho chuki hai,
Tere sahare gham-e-zindaganee likh raha hun,

Jara aahista chal.

Apni zubani likh raha hun,
Aay kalam jara aahista chal.!!!!

                                           M.A.Kmehmoodazmi.blogspot.com

Dard-e-zindagi ka aalam tum keya

Dard-e-zindagi ka aalam tum keya jano,
Tu hai sanghdil,tujhe keya khabar,

Gham-e-hijra ki chubhan tum keya jano.!

Kiss tarh gujarti hai zindagi,iss veeran-e-basti me,
Kiss tarah bitati hai har saam,dosto ki mahefil me,Tum keya jano.!!!

Tere hijra tadap jaun,ya Teri judai me meet jaun,
Har lamha kaise dard k seewan me gujarta hai,

Tum keya jano,
Dard-e-zindagi ka aalam tum keya jano.!!

                                     M.A.K

Gham-e-zindagi

Aiy gham-e-zindagi tu chahati keya hai,
Q mere dard me izafa kar k,
Mere soi hue zakhmo ko hawa de rahi.

Muddat-e-arsha huvi bhuli kahani
Fir dohra rahi hai,

ayi gham-e-zindagi tu chahati keya,
Q ujda ashiyana fir basa rahi hai.

                               M.A.K